Distance se padhna or regular se padhna thik hota hai, Distance se padhai kare or regular se, Koi bhi vidharthi jab use do option milate hai regular or distance ka to yah is baat ko janne ke liye kabhi utsahit jarur hote hai.
Distance ya Regular Kaun Badiya
Namaskar! Aap sabhi ka resultfor.in website par Hardik Swagat hai. www.resultfor.in website par aap sabhi vidharthiyo/ Abhiyarthiyo ke Man me is prashan ke duvidha awam nirakarn ke baare me batane ja rahe hai.
Sabse Pahle yah yah janna jaruri hota hai ki har course yani ki regular or distance ki apni hi kuchh avgun aur kuchh durgun yani ki visheshta awam khami hoti hai. To jante hai ki kya visheshta hoti hai Distance se padhai karne ki awam kya khami hoti hai iski.
Distance Course Kya hoti hai
Sabse pahle yah janna jaruri hai ki distance yani ki durdarsh shiksha kya hoti hai. Distance shiksha pranali wah shiksha paranli hoti hai jisme vidharthiyo ko roaj class karne ke liye jane ki aawashkta nahi hoti hai. yah un sabhi ke liye achchha vikalp hoti hai jinko samay ki kami hai or jo kahi job kar rahe hai. Ek baat aur is course me naam likhwane ke liye vidharthiyo ko kisi prakar ka entrance pariksha nahi dena hota hai.
Distance Course ki Visheshta
Samay ki kami me phayda
Jo Vaykti jo bichh me padhai chhod kar job karna par raha hai ya kisi karan bus padhai nahi kar paye, Distance se padhai aise vaykti ke liye bahut hi labhkari hota hai. Distance se padhai un vaykti ke liye bhi achhi sabit hoti hai, jo ki kahi naukari kar rahe hai awam promotion aadi paane ke liye distance se padhai phayedelmand hoti hai.
Samay ki bachat
Jab bhi hum regular course karte hai to hume ek nidharit asthan par yahi ki college/school/Sansthan jana hota aur ghar se aane awam jane me hume kai kuchh samay jarur hi lag jata hai. Aur kuchh samay hume taiyar hone me jata hai tatha kuchh samay jab hum aate hai ghar wapas to kuchh aaram karne me bhi jata hai, Kyoki jahir si baat hai ki hume aane jane me thakan hoti hai is karan hume aaram karna padta hai.
Apne Suvidha Anusar padhai
Distance se padhai karne me hume yah aajadi hoti hai ki hum padhai awam anay kary ka samay apne anusar bana sakte hai. Agar hum koi vishay/topic ko jaldi samjh jate hai to hum agle topic aadi ki padhai shuru kar sakte hai, hume dusare ka completed hone se pahle. Ek baat ka aur phayda hota hai ki hum agar koi topic ya koi chij nahi samjh pate hai to us chij par jayada samay de kar hum us chij ko achhe dhag se samajh skate hai.
Paise ki Bajat
jayda tar to wahi loag distance se namankan karwate hai, jinko ki kuchh paisa ki tangi or pareshani hoti hai. Is Distance se padahi karne ke bahut hi kum paisa kharch hota hai, sath un course ke alawa any chijo par paisa kharch nahi hote hai.
Padhne ki aajadi
Aap apne anusar padhai kar sakte hai, ispar kisi bhi parkar ki pabandi nahi hoti hai ki aap pahle yah subject padhe phir other subject padhe. Ab to lagbhag har distance course se padhai karne ke liye 24so ghante internet par online study material access karne ki aajadi hoti hai. Hum aap sabhi ko yah bhi suchit kar de ki agar aap online padhai karte hai disance se to any se apna view share bhi kar skate hai.
Anay Study Source ka Access
Jaisa ki aap ko baate de ki bahut se aisi sansthan hai jo ki padhai karne ki study material free me access karne ki aajadi deti hai. Vidharthi apne samjh awam suvidha ke anusar study material access kar sakte hai.
Ummid karta hu ki Distance se padhai karne ke phayde ki puri jankari di gayi hai. Jaisa ki aapko pata hai ki har chij ki kuchh khami bhi hoti hai, waise hi distance se padhai karne ki kuchh khami bhi hai. Distance se padhai karne ki kuchh khami jo jald hi is page par diye gaye link se access kiya ja sakega.